Aaj kiya zikr kisi Ne jo TumHara
Halkey Halkey Say phir Tum YaaD Anay Lagay
Main Purani Baaton kay samander Main DooBney laga
Dil Main Ek Baar phir Tum utarnay lagay
palkoon kay Darwaazey ko BanD kiya main Nay
Aur Ansoo Ban k Tum Aankhoon Say Behnay Lagay
BeBasi itni k Mare Haath uth Gay
DoBara ALLAH Say Tumhian Mangnay Lagay
zikr Tumhara sun ker Ek Baar phir
Mare jazBaat Tumhari Tamana kernay lagay
Bana k Tasveer Teri Mare zehn Main
Mare Tootey Armaan Rooney lagay
Paa k TumHian khwaaBoon Main Hum
jaag k phir Tumhian khooney lagay
Waada chahta hoon TakDeer sey Yeh
k BaDal Dey woh jo Honay lagay
Usey Kehna Mujhe Bewafa Shumar Na Ker
Dil Ko meri Yaad Se Be-qarar na Ker
Usey Kehna Ye Doori To Halat Ki Majbori Hai
Magar Der-Haqeqat Tere Bina Meri Zindgi Adhori Hai
Usey Kehna Jo Hua mere Saath Tumhe Bataon Kesay
Iss Dil mein Kitnay Zakham Hain dekhaon kesy
Usey Kehna waqt ne jo zakham diye Munmil ho kayn gay
Gar-Kismat mein qurbat-e-Yaar Ho to mil jayn gay
Usey kehna Apna Khial rekhna
Tum Meri Amanat ho
Meri Aamanat Sanbhal rekhna
Kyun chup ker mohabbat kerty ho,
Sang Chalnay ka dam bherty ho,
Jo sikhway gily hain keh dalo,
Kyun baat khulnay se derty ho,
Usey Bhool jao Jo guzar giya,
Kyun khud se itna Lerty ho,
Mujhe Bhi khud mein Shamil ker lo,
Kyun Tanha Aag mein jalty ho,
Be-Fiker ho jao ye jaan lo,
Tum mere dil mein rehty jo.
Mein haqiqat hoon samjhta hai wo afsana mujhe
Khud jalty hain bana ker apna perwana mujhe
Gardish-e-Dooran se keh do Hoosh ki batein kery
Gham ke Toofano se bhi aata hai takrana mujhe
Unse Unki Bazam mein itna hee keh k uth gaye
Ronaqain tumko Mubarak or Veeraniyan mujhe
Jaanay kia insan tha aashna lagta tha wo
Ker gaya sary shaanisaoun se be-gunna mujhe
Aesy chup chup ker kahan tak zehmat-e-jalwa gari
Haser jo bhi ho nazar aa be-hijaaban mujhe
Meri tark-e-Mehkashi per meri her tuba ke baad
ehtiraaman leyne aaya meer-r- maikhaana mujhe
Her naye saqi ne UFF hasb-e-Riwayat he dia
Mere hee khoon-e-jiger se bher ker pemanay mujhe
dekh ker iss dil ki thandi aag mai jalty howy
Ho gaye rukhsat duayain de ker perwany mujhe


(4 votes, average: 3.5 out of 5)