Memorable Dialogues From Devdas!


Posted by Aamir | Filmy Dialogues | Monday 8 December 2008 4:50 am

apne hisse ki zindagi to hum jee chuke chunni babu
ab to bas dhadkano ka lihaaz karte hain
kya kahen ye duniya walo ko jo,
aakhari saans par bhi aitaraaz karte hain

itna guroor to chand ko bhi nahin hai

gawaar… kitney aasani se ginwa diya ki tumhe har pal meri yaad aati thi, magar yeh kabhi nahi socha ki un palo mein beet ta toh main hi tha, diya tum jalati thi lekin us mein jalta toh mein hi tha

Nafrat hei hamein Aurat ke is roop se, aurat maa hoti hei, bahin hoti hei, biwi hoti hei aur jab kuch nahin hoti to tawaif hoti hei

chandarmukhi is bhare paimanee mein aur sharaab dalogi to kya ho ga, chalak jayega. Isi tarah paro ke naam se bhara pada hai peman-e-devdas bhi… aur bharo gi to chalak jayega ….. khud toh girega tumhe bhi gira de ga zameen pe

Kyun peete ho itna ke bardash hi naa kar paao…

aaj k baad main is chaukhat pe kabhi nahin aaoongaa ….haan… jab paro ki yaad ayegee main aaoongaa, jab khud ko doshi paungaa, main … main aaoongaa… aur kahaan jaungaa….

Dil ke chhalon ko koi shayari kahe, to parwah nahi
Takleef to tab hoti hai, Jab koi wah-wah karta hai

Apne hisse ki zindagi to hum jee chuke chunni babu,
Ab to bas dhadkanon ka lihaz karte hain,
Magar kya karen duniya walon ka,
Jo aakhari saans par bhi aitaraz karte hain.

Pyar aatma ki parchhai hai
Ishq ishwar ki ibadat
aur Mohabbat zindagi ka maqsad
magar afsos ki baat hai chunni babu,
ki aapke dost ke paas to kuchh bhi nahi hai,
na atma na ibadat na maqsad,
aur aap ye jo baar baar hathon main rupaye pakadte hain na dev babu,
kotho par ye tawayafo ke talwon main hote hain,
agar itna hi ghamand hai apne aap par, to hame wahi lauta dijiye,
jo humne aap par kharch kiye hain, do ratein
humari do ratein udhar rahee aap par dev babu,
jab tak aap nahi aayenge mahfil nahi sajegi,
in aankho ko aapka intazaar rahega

babuji ne kahaa gaon chhod do,
sabne kahaa paro ko chhod do,
paro ne kahaa sharaab chhod do,
aaj tumne kah dia, haweli chhod do,
ek din aayega jab wo kahenge, duniya hi chhod do

Yu nazar se nazar ki baat ki, ki dil chura le gaye
hum to samjhe the but, aap to dhadhkan suna gaye

Kaun kambakht bardasht karnay ko peeta hai hum to peete hain ki yahan par bhaith sakain tumhein dekh sakain, tumhain bardasht kar sakain, behosh ho sakain, paroo ko bhula sakain, par chandramukhi, yeh paroo ki yaad hamain hosh khone nahi deti, kyun itna peene ke baad bhi uski yaad hame satati hai din raat kyun …..kyun itna na samajh ho jata hai insaan ….kyun galti kar bhaithata hai …kyun ek choti si galti ki itni bari saza milti hai ki zindagi ke raaste hi alag ho jate hain, ek chala jaye shadi ke raaste par aur DUSSSSHHHHHHHHHHHH…..

6 Comments »

  1. Comment by arkesh jani — April 11, 2009 @ 9:07 am

    babuji ne kahaa gaon chhod do,
    sabne kahaa paro ko chhod do,
    paro ne kahaa sharaab chhod do,
    aaj tumne kah dia, haweli chhod do,
    ek din aayega jab wo kahenge, duniya hi chhod do

  2. Comment by LyLpuRi — March 19, 2010 @ 9:45 am

    Aahaa… Boht khoob !!!
    Lekin wo aakhri scene mein jo nazm hy “Chalo Laut Jaen Phir Usi Masom Bachpan Mein” Ye bhi shamil kr lijiye na…

    LyLpuRi

  3. Comment by abu mohammad — May 11, 2010 @ 1:03 pm

    awesome movie with outstanding acting i always use to watch this everyday but i likeeeeeeeeeee

  4. Comment by Tina — July 2, 2010 @ 8:13 am

    can you tranlate them into english

  5. Comment by Subodh Poudel — August 3, 2010 @ 1:10 am

    tnkxx man !!!! i was so searchin foh these dialogues ani i got it ~~~its osum movie ….

  6. Comment by jaydeep — September 20, 2010 @ 8:47 pm

    i am thankful to you for such lovely dialogs.

RSS feed for comments on this post. TrackBack URI

Leave a comment